bare duniya mein raho gham-zada ya shad raho
aisa kuchh kar ke chalo yan ki bahut yaad raho
ishq-peche ki tarah husn-e-giraftari hai
lutf kya sarw ki manind gar aazad raho
hum ko diwangi shahron hi mein KHush aati hai
dasht mein qais raho koh mein farhad raho
wo garan KHwab jo hai naz ka apne so hai
dad be-dad raho shab ko ki fariyaad raho
'mir' hum mil ke bahut KHush hue tum se pyare
is KHarabe mein meri jaan tum aabaad raho
Ghazal
Bare duniya mein raho gham-zada ya shad raho
Mir Taqi Mir