baadshahon ko sikhaya hai qalandar hona
aap aasan samajhte hain munawwar hona
ek aansu bhi hukumat ke liye KHatra hai
tum ne dekha nahin aankhon ka samundar hona
sirf bachchon ki mohabbat ne qadam rok liye
warna aasan tha mere liye be-ghar hona
hum ko malum hai shohrat ki bulandi hum ne
qabr ki miTTi ka dekha hai barabar hona
is ko qismat ki KHarabi hi kaha jaega
aap ka shahr mein aana mera bahar hona
sochta hun to kahani ki tarah lagta hai
raste se mera takna tera chhat par hona
mujh ko qismat hi pahunchne nahin deti warna
ek eazaz hai us dar ka gadagar hona
sirf tariKH batane ke liye zinda hun
ab mera ghar mein bhi hona hai calendar hona
Ghazal
Baadshahon ko sikhaya hai qalandar hona
Munawwar Rana