azab-e-wahshat-e-jaan ka sila na mange koi
nae safar ke liye rasta na mange koi
buland hathon mein zanjir Dal dete hain
ajib rasm chali hai dua na mange koi
tamam shahr mukarram bas ek mujrim main
so mere baad mera KHun-baha na mange koi
koi to shahr-e-tazabzub ke sakinon se kahe
na ho yaqin to phir moajiza na mange koi
azab-e-gard-e-KHizan bhi na ho bahaar bhi aae
is ehtiyat se ajr-e-wafa na mange koi
Ghazal
Azab-e-wahshat-e-jaan ka sila na mange koi
Iftikhar Arif