اردو हिंदी
Aur wahshat hai irada mera | Shaahi Shayari
aur wahshat hai irada mera

Ghazal

Aur wahshat hai irada mera

Idris Babar

;

aur wahshat hai irada mera
haq hai sahra pe ziyaada mera

to yahi kuchh hai wo duniya yani
ek matruk irada mera

raat ne dil ki taraf hath baDhae
ye sitara bhi hai aadha mera

aabju main to chala jaldi hai
ek samundar se hai wada mera

dhul uDti hai to yaad aata hai kuchh
milta-julta tha libaada mera