aur bhi ho gae begana wo ghaflat kar ke
aazmaya jo unhen zabt-e-mohabbat kar ke
dil ne chhoDa hai na chhoDe tere milne ka KHayal
bar-ha dekh liya hum ne malamat kar ke
dekhne aae the wo apni mohabbat ka asar
kahne ko ye hai ki aae hain ayaadat kar ke
pasti-e-hausla-e-shauq ki ab hai ye salah
baiTh rahiye gham-e-hijran pe qanaat kar ke
dil ne paya hai mohabbat ka ye aali rutba
aap ke dard-e-dawa-kar ki KHidmat kar ke
ruh ne pai hai taklif-e-judai se najat
aap ki yaad ko sarmaya-e-rahat kar ke
chheD se ab wo ye kahte hain ki sambhlo 'hasrat'
sabr o tab-e-dil-e-bimar ko ghaarat kar ke

Ghazal
Aur bhi ho gae begana wo ghaflat kar ke
Hasrat Mohani