ashk-e-gham aankhon ne barsaya bahut
jaane kyun un ka KHayal aaya bahut
us ko din hum ne duaen bar-ha
zindagi mein jis ne taDpaya bahut
jis ko apna dil samajhte the use
apna kam aur aap ka paya bahut
ban ke raaz-e-zindagi dil mein rahe
zindagi mein phir bhi tarsaya bahut
daulat o hashmat pe nazan ho koi
hai hamein to dil ka sarmaya bahut
dhup ki saKHti to thi lekin 'faraaz'
zindagi mein phir bhi tha saya bahut
Ghazal
Ashk-e-gham aankhon ne barsaya bahut
Faraz Sultanpuri