اردو हिंदी
Aql go aastan se dur nahin | Shaahi Shayari
aql go aastan se dur nahin

Ghazal

Aql go aastan se dur nahin

Allama Iqbal

;

aql go aastan se dur nahin
us ki taqdir mein huzur nahin

dil-e-bina bhi kar KHuda se talab
aankh ka nur dil ka nur nahin

ilm mein bhi surur hai lekin
ye wo jannat hai jis mein hur nahin

kya ghazab hai ki is zamane mein
ek bhi sahib-e-surur nahin

ek junun hai ki ba-shuur bhi hai
ek junun hai ki ba-shuur nahin

na-suburi hai zindagi dil ki
aah wo dil ki na-subur nahin

be-huzuri hai teri maut ka raaz
zinda ho tu to be-huzur nahin

har guhar ne sadaf ko toD diya
tu hi aamada-e-zuhur nahin

areni main bhi kah raha hun magar
ye hadis-e-kalim-o-tur nahin