apni aankhon ke samundar mein utar jaane de
tera mujrim hun mujhe Dub ke mar jaane de
ai nae dost main samjhunga tujhe bhi apna
pahle mazi ka koi zaKHm to bhar jaane de
zaKHm kitne teri chahat se mile hain mujh ko
sochta hun ki kahun tujh se magar jaane de
aag duniya ki lagai hui bujh jaegi
koi aansu mere daman pe bikhar jaane de
sath chalna hai to phir chhoD de sari duniya
chal na pae to mujhe lauT ke ghar jaane de
zindagi main ne ise kaise piroya tha na soch
haar TuTa hai to moti bhi bikhar jaane de
in andheron se hi suraj kabhi niklega 'nazir'
raat ke sae zara aur nikhar jaane de
Ghazal
Apni aankhon ke samundar mein utar jaane de
Nazeer Baaqri