اردو हिंदी
Apne hone ka ek ik pal tajraba karte rahe | Shaahi Shayari
apne hone ka ek ik pal tajraba karte rahe

Ghazal

Apne hone ka ek ik pal tajraba karte rahe

Abdullah Kamal

;

apne hone ka ek ek pal tajraba karte rahe
nok-e-neza par bhi hum raqs-e-ana karte rahe

ek musalsal jang thi KHud se ki hum zinda hain aaj
zindagi hum tera haq yun bhi ada karte rahe

hath mein patthar na tha chehre pe wahshat bhi na thi
phir wo kya tha jis pe hum yun qahqaha karte rahe

kuchh na kuchh to pesh-e-manzar mein bhi shayad tha kahin
kuchh pas-e-manzar bhi hum aab-o-hawa karte rahe

be-talab baDhta raha har lamha qarz-e-jaan ka bojh
be-sabab hi har nafas KHud ko ada karte rahe

dur tak phaila diye kohsar jangal wadiyan
rizq aankhon ko diya har pal naya karte rahe

tum to ai KHushbu hawao us se mil kar aa gain
ek hum the zaKHm-e-tanhai hara karte rahe

zahr KHud bote rahe ujli hawaon mein 'kamal'
chand sanson ko bhi hum be-zaiqa karte rahe