اردو हिंदी
Dekha jo marg to marna ziyan na tha | Shaahi Shayari
dekha jo marg to marna ziyan na tha

Ghazal

Dekha jo marg to marna ziyan na tha

Anwar Dehlvi

;

dekha jo marg to marna ziyan na tha
fani ke badle mulk-e-baqa kuchh garan na tha

shab ko baghal mein tha bhi to wo dilsitan na tha
shoKHi ye kah rahi thi ki yan tha wahan na tha

be-wajh munh chhupane se jo tha nihan na tha
par KHair thi kuchh is mein ki main bad-guman na tha

ye to nahin ki ab ke wo mutlaq wahan na tha
lekin sawal-e-wasl ye kahne ko han na tha

wo but hi kahun zamin pe jo bala-garan na tha
ham-sang lekin us ka magar aasman na tha

hasrat ke sadqe aankh ke malte hi khul gaya
wo kuchh ki mumkinat se jis ka bayan na tha

nala jo apna paya-e-tasir se gira
itna subuk hua ki main itna garan na tha

the bazm mein wo ghuncha-e-afsurda sharm se
kyunkar kahun bahaar mein rang-e-KHizan na tha

kaisi haya kahan ki wafa pas-e-KHalq kya
han ye sahi ki aap ko aana yahan na tha

sab kaam apni ek nigah par hain munhasir
goya mere liye to bana aasman na tha

kyun mujh pe tez ki nigah-e-qahr ki chhuri
main daur-e-charKH mein koi sang-e-fasan na tha

kuchh apne dil ke walwale kuchh zahidon ki zid
sar phoDne ko warna wahi aastan na tha

aaina ko wo dekhte hain un ki shakl hum
tha hum ko wo guman ki unhin wo guman na tha

inkar mahz mahz ghalat mezban sahi
mana ki bazm-e-ghair mein tu mehman na tha

dushman harif-e-rah-e-wafa hai KHuda ki shan
wahan jis pe tha yaqin mujhe us ka guman na tha

hairan hun hijab-e-judai uTha na kyun
wo naznin the main to koi na-tawan na tha

ab aasman ban ke mera muddai bana
thi lab pe kuchh fughan to falak ka nishan na tha

Tapka zamin pe gar falak-e-pir ko to kya
phir ye kahenge sab ki wo kuchh naujawan na tha

kuchh jazb dil mein jaan ke samjhe the un ko pas
ek wahm se yaqin pe kya kuchh guman na tha

gardun se aaj hai falak-e-zulm phaT paDa
sina mein aaj hi dam-e-atish-fishan na tha

husn-e-jahan-faroz se jis ja na the wo but
main be-nishaniyon se jahan tha wahan na tha

yun KHamushi se KHush ki wo taswir the magar
yun baat se ba-tang ki guyyan wahan na tha

bhaari hue yahan to subuk hogi zindagi
wahan to nazar se hum ko girana garan na tha

the be-KHudi mein pas wo hosh aai to gae
chuke ghazab hi hosh mein aana yahan na tha

aana ye un ka subh ko meri ajal ke sath
yani ki nala-e-shab-e-gham raegan na tha

tha kuchh shikast-e-dil se mera imtihan-e-sabr
wahan apni nazuki ka faqat imtihan na tha

be-mehr yun na ho ki ye KHush ho ke main kahun
shayad ki tu raqib pe bhi mehrban na tha

main aur roz-e-wasl-e-adu aur shab-e-firaq
yahan aasman na tha ki wahan aasman na tha

farhad kohkan tha ye ek halki baat hai
aashiq tha be-sutun ka uThana garan na tha

shab mujh se aankh malti rahi dil raqib se
yahan yun sitam raha ki kisi par ayan na tha

tha doston ka yar tariq aur dilon se dur
kya tha jo main ghubar-e-pas-e-karwan na tha

hairan hun ki dam mein tere kyunki aa gaya
main warna apne dil mein kahan se kahan na tha

marta hun ki kyun na raha dil mein tir-e-yar
aaram-jaan tha koi aazar-jaan na tha

dekha na aankh uTha ke mujhe nazuki se jhuT
aisa to kuchh nigah ka uThana garan na tha

KHali dar un ka paya to dil wahm se ruka
tha pasban mein aap jo wahan pasban na tha

kis be-dili se hijr mein ki hum ne zindagi
dil tha kahan ki yahan wo but-e-dilsitan na tha

miT jaana apna us ka raha sab ke dil pe naqsh
ek ye bhi tha nishan ki mera kuchh nishan na tha

kuchh wahm sadd-e-rah-e-sitam tha ki waqt-e-zabh
mere gulu pe KHanjar-e-qatil rawan na tha

'anwar' ne badle jaan ke li jins-e-dard-e-dil
aur is pe naz ye ki ye sauda garan na tha