amin-e-raaz hai mardan-e-hur ki darweshi
ki jibrail se hai us ko nisbat-e-KHweshi
kise KHabar ki safine Dubo chuki kitne
faqih o sufi o shair ki na-KHush-andeshi
nigah-e-garm ki sheron ke jis se hosh uD jaen
na aah-e-sard ki hai gosfandi o meshi
tabib-e-ishq ne dekha mujhe to farmaya
tera maraz hai faqat aarzu ki be-nishi
wo shai kuchh aur hai kahte hain jaan-e-pak jise
ye rang o nam ye lahu aab o nan ki hai beshi
Ghazal
Amin-e-raaz hai mardan-e-hur ki darweshi
Allama Iqbal