aise chup hain ki ye manzil bhi kaDi ho jaise
tera milna bhi judai ki ghaDi ho jaise
apne hi sae se har gam laraz jata hun
raste mein koi diwar khaDi ho jaise
kitne nadan hain tere bhulne wale ki tujhe
yaad karne ke liye umr paDi ho jaise
tere mathe ki shikan pahle bhi dekhi thi magar
ye girah ab ke mere dil mein paDi ho jaise
manzilen dur bhi hain manzilen nazdik bhi hain
apne hi panw mein zanjir paDi ho jaise
aaj dil khol ke roe hain to yun KHush hain 'faraaz'
chand lamhon ki ye rahat bhi baDi ho jaise
Ghazal
Aise chup hain ki ye manzil bhi kaDi ho jaise
Ahmad Faraz