اردو हिंदी
Aisa lagta hai ki kar dega ab aazad mujhe | Shaahi Shayari
aisa lagta hai ki kar dega ab aazad mujhe

Ghazal

Aisa lagta hai ki kar dega ab aazad mujhe

Munawwar Rana

;

aisa lagta hai ki kar dega ab aazad mujhe
meri marzi se uDane laga sayyaad mujhe

main hun sarhad pe bane ek makan ki surat
kab talak dekhiye rakhta hai wo aabaad mujhe

ek qisse ki tarah wo to mujhe bhul gaya
ek kahani ki tarah wo hai magar yaad mujhe

kam se kam ye to bata de ki kidhar jaegi
kar ke ai KHana-KHarabi meri barbaad mujhe

main samajh jata hun is mein koi kamzori hai
mere jis sher pe milti hai bahut dad mujhe