اردو हिंदी
Aisa bhi nahin us se mila de koi aa kar | Shaahi Shayari
aisa bhi nahin us se mila de koi aa kar

Ghazal

Aisa bhi nahin us se mila de koi aa kar

Adeem Hashmi

;

aisa bhi nahin us se mila de koi aa kar
kaisa hai wo itna to bata de koi aa kar

ye bhi to kisi man ka dulara koi hoga
is qabr pe bhi phul chaDha de koi aa kar

sukhi hain baDi der se palkon ki zabanen
bas aaj to ji bhar ke rula de koi aa kar

barson ki dua phir na kahin KHak mein mil jae
ye abr bhi aandhi na uDa de koi aa kar

ye koh ye sabza ye machalti hui nadiyan
mar jaun jo manzil ka pata de koi aa kar

har ghar pe hai aawaz har ek dar pe hai dastak
baiTha hun ki mujh ko bhi sada de koi aa kar

is KHwahish-e-nakaam ka KHun bhi mere sar hai
zinda hun ki is ki bhi saza de koi aa kar