اردو हिंदी
Agarche roz-e-azal bhi yahi andhera tha | Shaahi Shayari
agarche roz-e-azal bhi yahi andhera tha

Ghazal

Agarche roz-e-azal bhi yahi andhera tha

Abdul Hamid Adam

;

agarche roz-e-azal bhi yahi andhera tha
teri jabin se nikalta hua sawera tha

pahunch saka na main bar-waqt apni manzil par
ki raste mein mujhe rahbaron ne ghera tha

teri nigah ne thoDi si raushni kar di
wagarna arsa-e-kaunain mein andhera tha

ye kaenat aur itni sharab-aluda
kisi ne apna KHumar-e-nazar bikhera tha

sitare karte hain ab us gali ke gird tawaf
jahan 'adam' mere mahbub ka basera tha