اردو हिंदी
Agar meri jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti | Shaahi Shayari
agar meri jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti

Ghazal

Agar meri jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti

Abu Mohammad Wasil

;

agar meri jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti
to phir mahshur un ke sath apni zindagi hoti

jo taswir-e-KHyali naqsh dil par ho gai hoti
to apni zat mein har-dam teri jalwa-gari hoti

raza-e-dost par qurban jis ki har KHushi hoti
haqiqat mein usi ki gham se KHali zindagi hoti

nigah-e-mast-e-saqi se jo mai-KHwaron ne pi hoti
yaqinan hashr tak un ko na phir tishna-labi hoti

husul-e-dard-o-gham ki koshishon mein gar kami hoti
surur-o-kaif ki lazzat kahan mujh ko mili hoti

mujhe wo baaton baaton mein agar diwana kah dete
to diwanon mein meri mo'atabar diwangi hoti

tere mashq-e-sitam hi ne kisi qabil kiya mujh ko
tera ehsan warna zindagi kis kaam ki hoti

tumhaara aaina ban kar jo dil pesh-e-nazar rahta
tumhin tum jalwa-gar hote na surat dusri hoti

tasawwur hi ke aalam mein jo wo taklif farmate
to kyun furqat-nasibon ke liye shab hijr ki hoti

agar teri tarah tabligh karta pir-e-mai-KHana
to duniya-bhar mein waiz mai-kashi hi mai-kashi hoti

tumhaari be-niyazi ko gharaz kab hai magar meri
tamanna hai jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti

hayat-o-maut ka paigham deta har-nafas 'wasil'
kabhi ru-posh wo hote kabhi jalwa-gari hoti

jo mabudan-e-baatil ki jahan mein sarwari hoti
muqabil haidari ke past kyun kar marhabi hoti