agar gulshan taraf wo nau-KHat-e-rangin-ada nikle
gul o raihan sun rang-o-bu shitabi peshwa nikle
khile har ghuncha-e-dil jyun gul-e-shadab shadi sun
agar Tuk ghar sun bahar wo bahaar-dil-kusha nikle
ghanim-e-gham kiya hai fauj-bandi ishq-bazan par
baja hai aaj wo raja agar naubat baja nikle
nisar us ke qadam upar karun anjhuwan ke gauhar sab
agar karne kun dil-jui wo sarw-e-KHush-ada nikle
sanam aae karunga nala-e-jaan-soz kun zahir
magar us sang-dil sun mehrbani ki sada nikle
rahe manind-e-lal-e-be-baha shahan ke taj upar
mohabbat mein jo kui asbab zahir kun baha nikle
baKHili dars ki hargiz na kijo ai pari-paikar
'wali' teri gali mein jab ki manind-e-gada nikle
Ghazal
Agar gulshan taraf wo nau-KHat-e-rangin-ada nikle
Wali Mohammad Wali