اردو हिंदी
Achchhi nahin ye KHamushi shikwa karo gila karo | Shaahi Shayari
achchhi nahin ye KHamushi shikwa karo gila karo

Ghazal

Achchhi nahin ye KHamushi shikwa karo gila karo

Nida Fazli

;

achchhi nahin ye KHamushi shikwa karo gila karo
yun bhi na kar sako to phir ghar mein KHuda KHuda karo

shohrat bhi us ke sath hai daulat bhi us ke hath hai
KHud se bhi wo mile kabhi us ke liye dua karo

dekho ye shahr hai ajab dil bhi nahin hai kam ghazab
sham ko ghar jo aaun main thoDa sa saj liya karo

dil mein jise basao tum chand use banao tum
wo jo kahe paDha karo jo na kahe suna karo

meri nashist pe bhi kal aaega koi dusra
tum bhi bana ke rasta mere liye jagah karo