اردو हिंदी
Achchha hai wo bimar jo achchha nahin hota | Shaahi Shayari
achchha hai wo bimar jo achchha nahin hota

Ghazal

Achchha hai wo bimar jo achchha nahin hota

Mohsin Asrar

;

achchha hai wo bimar jo achchha nahin hota
jab tajribe hote hain to dhoka nahin hota

jis lafz ko main toD ke KHud TuT gaya hun
kahta bhi to wo us ko gawara nahin hota

teri hi tarah aata hai aankhon mein tera KHwab
sachcha nahin hota kabhi jhuTa nahin hota

takzib-e-junun ke liye ek shak hi bahut hai
barish ka samay ho to sitara nahin hota

kya kya dar-o-diwar meri KHak mein gum hain
par us ko mera jism gawara nahin hota

ya dil nahin hota mere hone ke sabab se
ya dil ke sabab se mera hona nahin hota

kis ruKH se tayaqqun ko tabiat mein jagah den
aisa nahin hota kabhi waisa nahin hota

hum log jo karte hain wo hota hi nahin hai
hona jo nazar aata hai hona nahin hota

jis din ke guzarte hi yahan raat hui hai
ai kash wo din main ne guzara nahin hota

jab hum nahin hote yahan aate hain taghayyur
jab hum yahan hote hain zamana nahin hota

hum un mein hain jin ki koi hasti nahin hoti
hum TuT bhi jaen to tamasha nahin hota