ab to firaq-e-subh mein bujhne lagi hayat
bar-e-ilah kitne pahar rah gai hai raat
har tirgi mein tu ne utari hai raushni
ab KHud utar ke aa ki siyah-tar hai kaenat
kuchh aaine se rakkhe hue hain sar-e-wajud
aur in mein apna jashn manati hai meri zat
bole nahin wo harf jo iman mein na the
likkhi nahin wo baat jo apni nahin thi baat
Ghazal
Ab to firaq-e-subh mein bujhne lagi hayat
Obaidullah Aleem