ab nahin lauT ke aane wala
ghar khula chhoD ke jaane wala
ho gain kuchh idhar aisi baaten
ruk gaya roz ka aane wala
aks aaankhon se chura leta hai
ek taswir banane wala
lakh honTon pe hansi ho lekin
KHush nahin KHush nazar aane wala
zad mein tufan ki aaya kaise
pyas sahil pe bujhane wala
rah gaya hai mera saya ban kar
mujh ko KHatir mein na lane wala
ban gaya ham-safar aaKHir 'nazmi'
rasta kaT ke jaane wala
Ghazal
Ab nahin lauT ke aane wala
Akhtar Nazmi