اردو हिंदी
Ab koi gulshan na ujDe ab watan aazad hai | Shaahi Shayari
ab koi gulshan na ujDe ab watan aazad hai

Ghazal

Ab koi gulshan na ujDe ab watan aazad hai

Sahir Ludhianvi

;

ab koi gulshan na ujDe ab watan aazad hai
ruh ganga ki himala ka badan aazad hai

khetiyan sona ugaen wadiyan moti luTaen
aaj gautam ki zamin tulsi ka ban aazad hai

mandiron mein sankh baje masjidon mein ho azan
shaiKH ka dharm aur din-e-barhaman aazad hai

luT kaisi bhi ho ab is desh mein rahne na pae
aaj sab ke waste dharti ka dhan aazad hai