aata hai kaun dard ke maron ke shahr mein
rahte hain log chand sitaron ke shahr mein
milta to hai KHushi ki haqiqat ka kuchh suragh
lekin nazar-fareb ishaaron ke shahr mein
un ankhDiyon ko dekh ke hota hai ye guman
hum aa base hain baada-gusaron ke shahr mein
ai dil tere KHulus ke sadqe! zara sa hosh
dushman bhi be-shumar hain yaron ke shahr mein
dekhen 'adam' nasib mein hai kya likha hua
dil bechne chale hain nigaron ke shahr mein

Ghazal
Aata hai kaun dard ke maron ke shahr mein
Abdul Hamid Adam