aankhon se teri zulf ka saya nahin jata
aaram jo dekha hai bhulaya nahin jata
allah-re nadan jawani ki umangen!
jaise koi bazar sajaya nahin jata
aankhon se pilate raho saghar mein na Dalo
ab hum se koi jam uThaya nahin jata
bole koi hans kar to chhiDak dete hain jaan bhi
lekin koi ruThe to manaya nahin jata
jis tar ko chheDen wahi fariyaad-ba-lab hai
ab hum se 'adam' saz bajaya nahin jata
Ghazal
Aankhon se teri zulf ka saya nahin jata
Abdul Hamid Adam