aankhon mein jo baat ho gai hai
ek sharh-e-hayat ho gai hai
jab dil ki wafat ho gai hai
har chiz ki raat ho gai hai
gham se chhuT kar ye gham hai mujh ko
kyun gham se najat ho gai hai
muddat se KHabar mili na dil ki
shayad koi baat ho gai hai
jis shai pe nazar paDi hai teri
taswir-e-hayat ho gai hai
ab ho mujhe dekhiye kahan subh
un zulfon mein raat ho gai hai
dil mein tujh se thi jo shikayat
ab gham ke nikat ho gai hai
iqrar-e-gunah-e-ishq sun lo
mujh se ek baat ho gai hai
jo chiz bhi mujh ko hath aai
teri saughat ho gai hai
kya jaaniye maut pahle kya thi
ab meri hayat ho gai hai
ghaTte ghaTte teri inayat
meri auqat ho gai hai
us chashm-e-siyah ki yaad yaksar
sham-e-zulmat ho gai hai
is daur mein zindagi bashar ki
bimar ki raat ho gai hai
jiti hui bazi-e-mohabbat
khela hun to mat ho gai hai
miTne lagin zindagi ki qadren
jab gham se najat ho gai hai
wo chahen to waqt bhi badal jae
jab aae hain raat ho gai hai
duniya hai kitni be-Thikana
aashiq ki baraat ho gai hai
pahle wo nigah ek kiran thi
ab barq-sifat ho gai hai
jis chiz ko chhu diya hai tu ne
ek barg-e-nabaat ho gai hai
ikka-dukka sada-e-zanjir
zindan mein raat ho gai hai
ek ek sifat 'firaq' us ki
dekha hai to zat ho gai hai
Ghazal
Aankhon mein jo baat ho gai hai
Firaq Gorakhpuri