aankhen hain josh-e-ashk se panghaT
ashk phirte hain in mein jaise rahaT
main na samjha tha KHub tere tain
hai tu mutrib pisar baDa naT-khaT
pi gae hum surahi-e-mai ko
dast-e-saqi se lete hi ghat-ghat
tera tir-e-nigah hai wo kafir
munh se ek dam juda tu kar ghungat
samjhe the mar aap dekhi thi
aaine mein kisi ki zulf ki laT
jis ko kahte hain arsa-e-hasti
tausan-e-umr ki hai ek sarpaT
'mushafi' us ke ruKH pe KHat aaya
gae we din gai wo rut hi palaT
jam ke baiThe na tha jahan koi
raat din ab rahe hai wan jamghaT
Ghazal
Aankhen hain josh-e-ashk se panghaT
Mushafi Ghulam Hamdani