اردو हिंदी
Aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai | Shaahi Shayari
aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai

Ghazal

Aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai

Akbar Hyderabadi

;

aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai
hai tamanna ka wahi jo zindagi ka haal hai

yun dhuan dene laga hai jism aur jaan ka alao
jaise rag rag mein rawan ek aatish-e-sayyal hai

phailte jate hain dam-e-narasi ke daere
tere mere darmiyan kin hadson ka jal hai

ghir gai hai do zamanon ki kashakash mein hayat
ek taraf zanjir-e-mazi ek jaanib haal hai

hijr ki rahon se 'akbar' manzil-e-didar tak
yun hai jaise darmiyan ek raushni ka sal hai