aandhi mein charagh jal rahe hain
kya log hawa mein pal rahe hain
ai jalti ruto gawah rahna
hum nange panw chal rahe hain
kohsaron pe barf jab se pighli
dariya tewar badal rahe hain
miTTi mein abhi nami bahut hai
paimane hunuz Dhal rahe hain
kah de koi ja ke taeron se
chyunTi ke bhi par nikal rahe hain
kuchh ab ke hai dhup mein bhi tezi
kuchh hum bhi sharar ugal rahe hain
pani pe zara sambhal ke chalna
hasti ke qadam phisal rahe hain
kah de ye koi musafiron se
sham aai hai sae Dhal rahe hain
gardish mein nahin zamin hi 'aKHtar'
hum bhi dabe panw chal rahe hain
Ghazal
Aandhi mein charagh jal rahe hain
Akhtar Hoshiyarpuri