aana hai yun muhaal to ek shab ba-KHwab aa
mujh tak KHuda ke waste zalim shitab aa
deta hun nama main tujhe is shart par abhi
qasid tu us ke pas se le kar jawab aa
aisa hi azm hai tujhe gar ku-e-yar ka
chalta hun main bhi ai dil-e-pur-iztirab aa
ye KHasta chashm wa hai tere intizar mein
ai subh munh dikha kahin ai aaftab aa
ta ye shab-e-firaq ki dijur dur ho
ai rashk-e-mah ghar mein mere be-naqab aa
aab-e-rawan o sabza o ru-e-nigar hai
saqi shitab aise mein le kar sharab aa
roen gale se lag ke baham KHub koi dam
kya dekhta hai ai dil-e-be-sabr-o-tab aa
bahr-e-jahan mein der-shud aamad rawa nahin
manind-e-qatra ja tu ba-rang-e-hubab aa
qurbani aaj dar pe tere karni hai mujhe
le kar ke tegh to bhi barae-sawab aa
shayad wo tujh ko dekh ke gham khae 'mushafi'
tu us ke samne to ba-chashm-e-pur-ab aa
Ghazal
Aana hai yun muhaal to ek shab ba-KHwab aa
Mushafi Ghulam Hamdani