اردو हिंदी
Aaj tujhe kyun chup si lagi hai | Shaahi Shayari
aaj tujhe kyun chup si lagi hai

Ghazal

Aaj tujhe kyun chup si lagi hai

Nasir Kazmi

;

aaj tujhe kyun chup si lagi hai
kuchh to bata kya baat hui hai

aaj to jaise sari duniya
hum donon ko dekh rahi hai

tu hai aur be-KHwab dariche
main hun aur sunsan kali hai

KHair tujhe to jaana hi tha
jaan bhi tere sath chali hai

ab to aankh laga le 'nasir'
dekh to kitni raat gai hai