اردو हिंदी
Aaj KHun ho ke Tapak paDne ke nazdik hai dil | Shaahi Shayari
aaj KHun ho ke Tapak paDne ke nazdik hai dil

Ghazal

Aaj KHun ho ke Tapak paDne ke nazdik hai dil

Mushafi Ghulam Hamdani

;

aaj KHun ho ke Tapak paDne ke nazdik hai dil
nok-e-nashtar ho to han qabil-e-tahrik hai dil

ai falak tujh ko qasam hai meri is ko na bujha
ki gharibon ko charagh-e-shab-e-tarik hai dil

waram-e-dagh kai samne rakh kar us ke
ishq bola ye uTha le teri tamlik hai dil

mujh ko hairat hai ki ki umr basar us ne kahan
is jahaalat pe to ne turk na tajik hai dil

kamar-e-yar ke mazkur ko jaane de miyan
tu qadam is mein na rakh rah ye barik hai dil

jama-e-dagh ko malbus kar apna din raat
kyunki ye jama tere qad pe nipaT Thik hai dil

'mushafi' ek to main hun dast-KHush-dida-e-shoKH
tis pe din raat mere darpai-e-tazhik hai dil