اردو हिंदी
Aah jis waqt sar uThati hai | Shaahi Shayari
aah jis waqt sar uThati hai

Ghazal

Aah jis waqt sar uThati hai

Mir Taqi Mir

;

aah jis waqt sar uThati hai
arsh par barchhiyan chalati hai

naz-bardaar-e-lab hai jaan jab se
tere KHat ki KHabar ko pati hai

ai shab-e-hijr rast kah tujh ko
baat kuchh subh ki bhi aati hai

chashm-e-bad-dur-chasm-e-tar ai 'mir'
aankhen tufan ko dikhati hai