aah hamraaz kaun hai apna
baKHt-e-na-saz kaun hai apna
kis ke kahlaen hum ki tere siwa
but-e-tannaz kaun hai apna
baat kah de hai wo tah-e-dil ki
aisa ghammaz kaun hai apna
le uDte tu hi gar na hum ko to phir
shauq-e-parwaz kaun hai apna
wasl hota nahin, nahin malum
KHalal-andaz kaun hai apna
bola dekh aaina wo hairat se
chehra-pardaz kaun hai apna
go ki aankhen laDaen hum us se
yan nazar-baz kaun hai apna
shab-e-furqat mein juz-dam-e-quliyan
yar dam-saz kaun hai apna
be-niyazi kare jo tu hi to phir
ai hama-naz kaun hai apna
'mushafi' hum hain aur tanhai
sach hai ambaz kaun hai apna
Ghazal
Aah hamraaz kaun hai apna
Mushafi Ghulam Hamdani