aah dekhi thi main jis ghar mein pari ki surat
ab nazar aae hai wan nauhagari ki surat
na wo andaz na aawaz na ishwa na ada
yak-ba-yak miT gai yun jalwagari ki surat
ab KHayal us ka wahan aankhon mein phirta hai meri
koi phirta tha jahan kabk-e-dari ki surat
us ke jaane se mera dil hai mere sine mein
dam ka mehman charagh-e-sahari ki surat
ne KHabar us ko meri pahunche hai ne us ki mujhe
bandh gai hai ajab ek be-KHabari ki surat
nam lun kis ka ki ek gul ke liye jate hain
ashk aankhon se aqiq-e-jigari ki surat
'mushafi' hai yahi ab soch ki dekhen to falak
phir bhi dikhlaega yar-e-safari ki surat
Ghazal
Aah dekhi thi main jis ghar mein pari ki surat
Mushafi Ghulam Hamdani