اردو हिंदी
Aag ashk-e-garm ko lage ji kya hi jal gaya | Shaahi Shayari
aag ashk-e-garm ko lage ji kya hi jal gaya

Ghazal

Aag ashk-e-garm ko lage ji kya hi jal gaya

Momin Khan Momin

;

aag ashk-e-garm ko lage ji kya hi jal gaya
aansu chu us ne ponchhe shab aur hath phal gaya

phoDa tha dil na tha ye mue par KHalal gaya
jab Thes sans ki lagi dam hi nikal gaya

kya roun KHira-chashmi-e-baKHti-e-siyah ko
wan shaghl-e-surma hai abhi yan sail Dhal gaya

ki mujh ko hath malne ki talim warna kyun
ghairon ko aage bazm mein wo itr mal gaya

us kuche ki hawa thi ki meri hi aah thi
koi to dil ki aag pe pankha sa jhal gaya

jon KHuftagan-e-KHak hai apni fatadgi
aaya jo zalzala kabhi karwaT badal gaya

us naqsh-e-pa ke sajde ne kya kya kiya zalil
main kucha-e-raqib mein bhi sar ke bal gaya

kuchh ji gira paDe tha par ab tu ne naz se
mujh ko gira diya to mera ji sambhal gaya

mil jae gar ye KHak mein us ne wahan ki KHak
gul ki thi kyun ki panw wo nazuk phisal gaya

but-KHane se na kabe ko taklif de mujhe
'momin' bas ab muaf ki yan ji bahal gaya