aae ho to ye hijab kya hai
munh khol do naqab kya hai
sine mein Thaharta hi nahin dil
ya-rab ise iztirab kya hai
kal tegh nikal mujh se bola
tu dekh to is ki aab kya hai
malum nahin ki apna diwan
hai marsiya ya kitab kya hai
jo mar gae mare lutf hi ke
phir un pe miyan itab kya hai
auron se to hai ye be-hijabi
mujh se hi tujhe hijab kya hai
ai 'mushafi' uTh ye dhup aai
itna bhi diwane KHwab kya hai
Ghazal
Aae ho to ye hijab kya hai
Mushafi Ghulam Hamdani