اردو हिंदी
Aa ki meri jaan ko qarar nahin hai | Shaahi Shayari
aa ki meri jaan ko qarar nahin hai

Ghazal

Aa ki meri jaan ko qarar nahin hai

Mirza Ghalib

;

aa ki meri jaan ko qarar nahin hai
taqat-e-bedad-e-intizar nahin hai

come for my life lacks patience and tranquility
doesn’t have the strength to bear waiting's cruelty

dete hain jannat hayat-e-dahr ke badle
nashsha ba-andaza-e-KHumar nahin hai

heaven is decreed in lieu, of a life on earth
compared to the hangover of wine there is dearth

girya nikale hai teri bazm se mujh ko
hae ki rone pe iKHtiyar nahin hai

Tears cause my expulsion, from your company
Shame! On weeping that I have no authority

hum se abas hai guman-e-ranjish-e-KHatir
KHak mein ushshaq ki ghubar nahin hai

that 'gainst you I bear grudges, you suspect in vain
know that lover's graves do not dust of doubt contain

dil se uTha lutf-e-jalwa-ha-e-maani
ghair-e-gul aaina-e-bahaar nahin hai

with your heart you should absorb, beauty of meaning
save the flower no mirror is for the fact of spring

qatl ka mere kiya hai ahd to bare
wae agar ahd ustuwar nahin hai

you have promised to slay me, I am joyful, glad
if your promise is infirm, 'twill be truly sad

tu ne qasam mai-kashi ki khai hai 'ghaalib'
teri qasam ka kuchh e'tibar nahin hai

Gaalib as you swear an oath by your drunkenness
Your oath's thus beyond belief, I have to confess