aa gai yaad sham Dhalte hi
bujh gaya dil charagh jalte hi
khul gae shahr-e-gham ke darwaze
ek zara si hawa ke chalte hi
kaun tha tu ki phir na dekha tujhe
miT gaya KHwab aankh malte hi
KHauf aata hai apne hi ghar se
mah-e-shab-tab ke nikalte hi
tu bhi jaise badal sa jata hai
aks-e-diwar ke badalte hi
KHun sa lag gaya hai hathon mein
chaDh gaya zahr gul masalte hi
Ghazal
Aa gai yaad sham Dhalte hi
Muneer Niyazi