yaad bhi teri miT gai dil se
aur kya rah gaya hai hone ko
Abrar Ahmad
tamam raat wo pahlu ko garm karta raha
kisi ki yaad ka nashsha sharab jaisa tha
Abrar Azmi
abhi sahifa-e-jaan par raqam bhi kya hoga
abhi to yaad bhi be-saKHta nahin aai
Ada Jafri
yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim'
bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha
Adeem Hashmi
yaadon ne use toD diya mar ke patthar
aaine ki KHandaq mein jo parchhain paDi thi
Adil Mansuri
zara der baiThe the tanhai mein
teri yaad aankhen dukhane lagi
Adil Mansuri
KHabar deti hai yaad karta hai koi
jo bandha hai hichki ne tar aate aate
Afsar Allahabadi