ek safina hai teri yaad agar
ek samundar hai meri tanhai
Ahmad Nadeem Qasmi
jis taraf jaen jahan jaen bhari duniya mein
rasta roke teri yaad khaDi hoti hai
Ahmad Rahi
kahin ye apni mohabbat ki intiha to nahin
bahut dinon se teri yaad bhi nahin aai
Ahmad Rahi
'ajmal'-siraj hum use bhul hue to hain
kya jaane kya karenge agar yaad aa gaya
Ajmal Siraj
yaad-e-mazi azab hai ya-rab
chhin le mujh se hafiza mera
Akhtar Ansari
ab bhi aati hai teri yaad pa is karb ke sath
TuTti nind mein jaise koi sapna dekha
Akhtar Imam Rizvi
ye be-sabab nahin aae hain aankh mein aansu
KHushi ka lamha koi yaad aa gaya hoga
Akhtar Saeed Khan