اردو हिंदी
Tanz-o-Mizah Shayari | Shaahi Shayari

Tanz-o-Mizah

12 Shers

tifl mein bu aae kya man bap ke atwar ki
dudh to Dibbe ka hai talim hai sarkar ki

Akbar Allahabadi




jab paDha jaur o jafa main ne to aai ye sada
Thik se paDh use joru hai jafa se pahle

Ameerul Islam Hashmi




meri majburiyon ne nazuki ka KHun kar Dala
har ek gobhi-badan ko gul-badan likhna paDa mujh ko

Ameerul Islam Hashmi




uTThe kahan baiThe kahan kab aae gae kab
begam ki tarah tum bhi hisabaat karo ho

Ameerul Islam Hashmi




professor hi jab aate hon hafta-war college mein
to uncha kyun na ho talim ka mear college mein

Inam-ul-Haq Javed