اردو हिंदी
Tamanna Shayari | Shaahi Shayari

Tamanna

29 Shers

aaghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai
jab dil mein tamanna thi ab dil hi tamanna hai

Jigar Moradabadi




meri hasti hai meri tarz-e-tamanna ai dost
KHud main fariyaad hun meri koi fariyaad nahin

Jigar Moradabadi




ishq hai ji ka ziyan ishq mein rakkha kya hai
dil-e-barbaad bata teri tamanna kya hai

Junaid Hazin Lari




insan ki KHwahishon ki koi intiha nahin
do gaz zamin bhi chahiye do gaz kafan ke baad

Kaifi Azmi




hum na manenge KHamoshi hai tamanna ka mizaj
han bhari bazm mein wo bol na pai hogi

Kalidas Gupta Raza




tamanna teri hai agar hai tamanna
teri aarzu hai agar aarzu hai

Khwaja Meer u0027Dardu0027




arman wasl ka meri nazron se taD ke
pahle hi se wo baiTh gae munh bigaD ke

Lala Madhav Ram Jauhar