kyun meri tarah raaton ko rahta hai pareshan
ai chand bata kis se teri aankh laDi hai
Sahir lakhnavi
main KHayal hun kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
sar-e-aina mera aks hai pas-e-aina koi aur hai
I am someone else's thought, someone else brings me to mind
my image in the mirror wrought, someone else is there behind
Saleem Kausar
apne jaisi koi taswir banani thi mujhe
mere andar se sabhi rang tumhaare nikle
Salim Saleem
jahan mein hone ko ai dost yun to sab hoga
tere labon pe mere lab hon aisa kab hoga
Shahryar
shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko
main dekhta raha dariya teri rawani ko
Shahryar
yun teri yaad mein din raat magan rahta hun
dil dhDakna tere qadmon ki sada lagta hai
Shahzad Ahmad
jati hai dhup ujle paron ko sameT ke
zaKHmon ko ab ginunga main bistar pe leT ke
Shakeb Jalali