اردو हिंदी
Jahan main hone ko ai dost yun to sab hoga | Shaahi Shayari
jahan main hone ko ai dost yun to sab hoga

Ghazal

Jahan main hone ko ai dost yun to sab hoga

Shahryar

;

jahan mein hone ko ai dost yun to sab hoga
tere labon pe mere lab hon aisa kab hoga

isi umid pe kab se dhaDak raha hai dil
tere huzur kisi roz ye talab hoga

makan to honge makinon se sab magar KHali
yahan bhi dekhun tamasha ye ek shab hoga

koi nahin hai jo batlae mere logon ko
hawa ke ruKH ke badalne se kya ghazab hoga

na jaane kyun mujhe lagta hai aisa hakim-e-shahr
jo hadisa nahin pahle hua wo ab hoga