us naqsh-e-pa ke sajde ne kya kya kiya zalil
main kucha-e-raqib mein bhi sar ke bal gaya
bowing to her footsteps brought me shame I dread
I went to my rival's street standing on my head
Momin Khan Momin
dozaKH o jannat hain ab meri nazar ke samne
ghar raqibon ne banaya us ke ghar ke samne
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
le mere tajrabon se sabaq ai mere raqib
do-chaar sal umr mein tujh se baDa hun main
Qateel Shifai
is tarah zindagi ne diya hai hamara sath
jaise koi nibah raha ho raqib se
Sahir Ludhianvi
hamein nargis ka dasta ghair ke hathon se kyun bheja
jo aankhen hi dikhani thin dikhate apni nazron se
Sheikh Ibrahim Zauq