tera har raaz chhupae hue baiTha hai koi
KHud ko diwana banae hue baiTha hai koi
Akhtar Siddiqui
dafn kar sakta hun sine mein tumhaare raaz ko
aur tum chaho to afsana bana sakta hun main
Asrar-ul-Haq Majaz
ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah
tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main
Asrar-ul-Haq Majaz
jin ko apni KHabar nahin ab tak
wo mere dil ka raaz kya jaanen
Dagh Dehlvi
koi samjhega kya raaz-e-gulshan
jab tak uljhe na kanTon se daman
Fana Nizami Kanpuri
apna hi haal tak na khula mujh ko ta-ba-marg
main kaun hun kahan se chala tha kahan gaya
Hairat Allahabadi
hae wo raaz-e-gham ki jo ab tak
tere dil mein meri nigah mein hai
Jigar Moradabadi