qais jangal mein akela hai mujhe jaane do
KHub guzregi jo mil baiThenge diwane do
Miyan dad Khan Sayyah
umr to sari kaTi ishq-e-butan mein 'momin'
aaKHiri waqt mein kya KHak musalman honge
Momin all your life in idol worship you did spend
How can you be a Muslim say now towards the end?
Momin Khan Momin
ye jabr bhi dekha hai tariKH ki nazron ne
lamhon ne KHata ki thi sadiyon ne saza pai
Muzaffar Razmi
lae us but ko iltija kar ke
kufr TuTa KHuda KHuda kar ke
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
sar-e-mizhgan ye nale ab bhi aansu ko taraste hain
ye sach hai jo garajte hain wo baadal kam baraste hain
Shah Naseer
ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na munh laga
chhuTti nahin hai munh se ye kafar lagi hui
Sheikh Ibrahim Zauq
aja kahe jise aalam use baja samjho
zaban-e-KHalq ko naqqara-e-KHuda samjho
Sheikh Ibrahim Zauq