laga raha hun mazamin-e-nau ke phir ambar
KHabar karo mere KHirman ke KHosha-chinon ko
Meer Anees
sada aish dauran dikhata nahin
gaya waqt phir hath aata nahin
Meer Hasan
aaKHir gil apni sarf-e-dar-e-mai-kada hui
pahunchi wahin pe KHak jahan ka KHamir tha
Meerza Jawan Bakht Jahandar
ab to jate hain but-kade se 'mir'
phir milenge agar KHuda laya
Mir Taqi Mir
'mir' amdan bhi koi marta hai
jaan hai to jahan hai pyare
Mir Taqi Mir
shah-zor apne zor mein girta hai misl-e-barq
wo tifl kya girega jo ghuTnon ke bal chale
Mirza Azeem Beg
ai sanam wasl ki tadbiron se kya hota hai
wahi hota hai jo manzur-e-KHuda hota hai
Mirza Raza Barq