اردو हिंदी
Humse milte the sitare aap ke | Shaahi Shayari
humse milte the sitare aap ke

Ghazal

Humse milte the sitare aap ke

Ibn-e-Mufti

;

hum se milte the sitare aap ke
phir bhi kho baiThe sahaare aap ke

kaisa jadu hai samajh aata nahin
nind meri KHwab sare aap ke

hum se shayad mo'tabar Thahri saba
jis ne ye gesu sanware aap ke

aap ki nazar-e-karam ke muntazir
kab se baiThe hain dware aap ke

koi us ki aankh ko bhaega kyun
jis ne dekhe hon nazare aap ke

bin tere sansen bhi ab chalti nahin
har ghaDi chahen, ishaare aap ke

muskura kar dekhiye to ek bar
kahkashan, ye chand tare aap ke

jhuT hai 'mufti' bhula baiThe ho sab
kyun the palkon par sitare aap ke