اردو हिंदी
Musafir Shayari | Shaahi Shayari

Musafir

12 Shers

musafir apni manzil par pahunch kar chain pate hain
wo maujen sar paTakti hain jinhen sahil nahin milta

Makhmoor Dehlvi




nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya
kya hai tera kya hai mera apna paraya bhul gaya

Meeraji




wo raat ka be-nawa musafir wo tera shair wo tera 'nasir'
teri gali tak to hum ne dekha tha phir na jaane kidhar gaya wo

Nasir Kazmi




ai adam ke musafiro hoshiyar
rah mein zindagi khaDi hogi

Saghar Siddiqui




musafiron se mohabbat ki baat kar lekin
musafiron ki mohabbat ka e'tibar na ka

Umar Ansari